Hindi (हिंदी )Lyrics
अपनो को तो इस दुनियां मे
सब प्यार करते है
दुश्मन को भी प्यार करना
मसीहा सिखाते है।
1. एक गाल पर जो मारे तमाचा,
दुजा गाल भी देना
ले जाऐ कोई इक मील जबरन
दो मील तु साथ जाना
अपनो को तो अपना सब कुछ
सब लोग देते है ।
गैरों पर भी सब कुछ
लुटाना मसीहा सिखाते है।
2. अपनो को जैसे वैसे ही
अपने पडोसी से प्यार करो
यीशु मरा तेरे पापों के खातिर,
यह विश्वास करो
अपनो पर तो सब लोग
यहाँ पर ऐतबार करते है।
कलामें खुदा पे विश्वास
करना मसीहा सिखाता है।
3. जो दे तुमको काँटे उनका,
दामन फूलों से भर दो
यीशु ने तुमको माफ़ किया,
तुम भी सबको माफ कर दो
अपनो को तो गुनाहो की
माफी सब लोग देते है।
गैंरों को भी माफ करना
मसीहा सिखाते है।
English (Hinglish) Lyrics
Apno ko to is duniya mein
Sab pyaar karte hain,
Dushman ko bhi pyaar karna
Masiha sikhaate hain.
1. Ek gaal par jo maare tamacha,
Doosra gaal bhi dena,
Le jaaye koi ek mile jabran,
Do mile tu saath jaana.
Apno ko to apna sab kuch
Sab log dete hain.
Gairon par bhi sab kuch
Lootaana Masiha sikhaate hain.
2. Apno ko jaise vaise hi
Apne padosi se pyaar karo,
Yeshu mara tere paapon ke khaatir,
Yeh vishwaas karo.
Apno par to sab log
Yahan par aitbaar karte hain.
Kalaam-e-Khuda pe vishwaas
Karna Masiha sikhaata hai.
3. Jo de tumko kaante unka,
Daaman phoolon se bhar do.
Yeshu ne tumko maaf kiya,
Tum bhi sabko maaf kar do.
Apno ko to gunaahon ki
Maafi sab log dete hain.
Gairon ko bhi maaf karna
Masiha sikhaate hain.
Song Credit
Song -Apno ko to is duniya meinSinger- Unknown
Written by-Unknown

